EXPLORE AMAZON.COM HERE

me to

Tuesday 19 September 2017

Dard Rukta Nahi Ek Pal bhi, Nusrat Fateh Ali Khan




Dard rukta nahin ek pal bhi,
Ishq ki ye saza mil rahi hai,
Maut se pehle hi marr gaye hum,
Chot nazaro'n ki aisi lagi hai,Unse aisi lagi hai.



Meri ro ro ke kat ti hai rain piya,
Saawan ki kaali Raato Mei'n,
ab boonda baandi hoti hai,
Jag sukh ki neend Mei'n sota hai,Aur bir hamaari roti hai.



Meri ro ro ke kat ti hai rain piya,
Jab se laage un sang nain piya,
Laagi naahi choote rama,Chahe jiya jaye.

Patthar ko bhi kaato to woh kat sakta hai,
Kaate nahin kat ti shab e furkat meri,
Aankh jab se lagi meri unki,
Zindagi ho gayi meri unki,
Ab to unse lagi hai, Meri inse lagi hai.

No comments:

Post a Comment