EXPLORE AMAZON.COM HERE

me to
Showing posts with label Pyar. Show all posts
Showing posts with label Pyar. Show all posts

Tuesday, 26 September 2017

Ghalib Poetry

Is Qadar Toda hai Mujhe uski BeWafai ney "Ghalib"
Ab koi agar Pyar se bhi dekhe toh Bikhar jata hoon Mai ...




Hum toh Fana ho gaye uskii Aankhe'n dekh kar "Ghalib",
Na janey woh Aaina kaise dekhte hongey ...! 

Wednesday, 20 September 2017

Urdu Romantic Shayari

آ بچھڑنے کا کوئی اور طریقہ ڈھونڈیں,
پیار بڑھتا ہے میری جان خفا ھونے سے .
Aa bichadne ka koi aur Tareeqa Dhoonde'n,
Pyar badhta hai Meri Jaan Khafa hone se.



                           ❤❤


اب نہیں اور کوئی جینے کی صورت ممکن,
اب یہ لازم ہے مجھے آپ پہ مرنا ہو گا .
Ab nahi aur koi Jeene ki Surat Mumkin,
Ab yeh Lazim hai Mujhe Aao pe Marna hoga.


                          ❤❤



بے بس کر دیا تم نے,
اپنے بس میں کر کے.
Be-bas kar diye Tumne,
Apne bas mei'n Karke.

Sunday, 17 September 2017

Shayari for Love

Dil Mei'n Na Ho Jurrat Toh Mohabbat Nahi Milti,
Khairaat Mei'n Itni Badi Daulat Nahi Milti.
दिल में ना हो जुर्रत तो मोहब्बत नहीं मिलती
खैरात में इतनी बड़ी दौलत नहीं मिलती।




Kisi Se Pyar Karo Aur Tajurba Kar Lo,
Ye Aisa Rog Hai Jisme Dawa Nahi Lagti.
किसी से प्यार करो और तजुर्बा कर लो,
ये रोग ऐसा है जिसमें दवा नहीं लगती।

Pyar Shayari

Hum Mohabbat Ki Kabhi Numaish Nahi Karte,
Hum Lafzo'n Ki Bhi Pamaish Nahi Karte,
Jise Chahte Hai Hum Toot Ke Chahte Hai,
Badle Mei'n Pyar Ki Khawaish Tak Nahi Karte.


Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Banjata Hai,
Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Banjata Hai,
Kuch Log Zindagi Mei'n Milte Hai'n Aise,
Jinse Kabhi Na Tootne wala Rishta Banjata Hai.


Raasto Mei'n Pathro'n Ki Kami Nahi Hoti,
Dil Mei'n Khwabo Ki Kami Nahi Hoti,
Hum Chahte Hai Unko Apna Banana,
Par Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hoti.



Kash ek Waqt aisa bhi aaye,
Mai paas rahu teray our Saans ruk jaye,
Mar kar bhi khush hongay hum,
Bas ye Maut teri Baaho'n mei'n aa jaye.

Pyar Shayari

Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hai,
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta hai.



Apne Aasman Se Meri Zameen Dekh Lo,
Tum Khwab Aaj Koyi Haseen Dekh Lo,
Agar Aazmana Hai Aitbar Ko Mere To,
Ek Jhoot Tum Bolo aur Mera Yakheen Dekh Lo.



Udaas Hu'n Par Tujhse Naaraz Nahi,
Tere Dil Mei'n Hu'n Par Tere Pass Nahi,
Jhoot Kahu'n toh Sab Kuch Hai Mere Pass,
Aur Sach Kahu'n Toh Ek Tere Siwa Kuch Bhi Khaas nahi.

Nazre'n Mile toh Pyar ho Jata Hai,
Palke Uthe toh Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kashish Hai Chahat Me,
Ke Koyi Anjaan Bhi Hamari Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.



Yaado'n Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankho'n Se kabhi Aap Bhi Soye Honge,
Maana Hasna Hai Ada Ghum Chhupane Ki,
Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye honge.