EXPLORE AMAZON.COM HERE

me to
Showing posts with label Tanha. Show all posts
Showing posts with label Tanha. Show all posts

Wednesday, 4 October 2017

Sitaaro se Aage Jahan aur bhi hai, Allama Iqbal



Sitaaro se Aage Jahan aur bhi hai,
Abhi Ishq ke Imtehan aur bhi hai.,

Tahi Zindagi se nahi yeh Fizaye'n,
Yaha Sainkro'n Kaarwa'n aur bhi hai.,
 {Tahi = empty }

Qana'at na kar Alam-e-Rang-o-Buu par,
Chaman aur bhi Aashiya'n aur bhi hai.,
{Qana'at =satisfaction, Alam = world, Rang-o-Buu = color and fragrance, Aashiya'n = shelter}

Agar Kho gaya ik Nasheman toh kya Ghum,
Maqamaat Aah-o-Faghan aur bhi hai.,
{Nasheman = shelter, maqamaat = places , aah = sigh , faghan = complaint, appeal}

Tu Shaaheen hai Parvaaz hai kaam tera,
Tere Samne Asmaan aur bhi hai.,
{Shaheen = eagle, parvaaz = fly, flight }

Isi Roz-o-Shab mei'n Ulajh kar na reh ja,
Ke Tere Zamaan-o-Makaan aur bhi hai.,
{Roz= day, shab= night, Ulajh=entangle,  Zamaan= period, makaan= houses}

Gaye din ke Tanha tha Mai  Anjuman mei'n,
Yaha ab Mere Raazdaan aur bhi hai..
{Anjuman = society, raazdaan = secret keeper}

Friday, 22 September 2017

Sad Shayari

ظرف کی بات ہے کانٹوں کی خلش دل میں لئے،
لوگ ملتے ہیں  ۔تر و تازہ گلابوں کی طرح.
Zarf ki baat hai Kaanto ki khalsh Dil mei'n liye hue,
Log milte Hai'n Tar-o-Taazah Gulabo'n ki tarha.


                                 ❤❤


یادوں کی آباد گلی میں،
گھوم رہا ہے تنہا چاند.
Yaado'n ki Aabad Gali mei'n,
Ghoom raha hai Tanha Chaand.

Sunday, 17 September 2017

Shayari for Girlfriend



Kitaab Meri Panne Mere Aur Soch Bhi Meri,
Phir Maine Jo Likha Woh Khayal Kyu'n Tere ?
किताब मेरी, पन्ने मेरे और सोच भी मेरी,
फिर मैंने जो लिखे वो ख्याल क्यों तेरे ?

Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Rahti Hai,
Koi Insaan Tanhai Mein Bhi Kabhi Tanha Nahi Rahta.
मोहब्बत एक खुशबू है हमेशा साथ रहती है,
कोई इंसान तन्हाई में भी कभी तन्हा नहीं रहता।


Chupane Laga Hoo'n Aaj Kal Kuch Raaz Apne Aap Se,
Suna Hai Kuch Log Mujhko Mujhse zyada Jaan'ne Lage Hai'n.
छुपाने लगा हूँ आजकल कुछ राज अपने आप से,
सुना है कुछ लोग मुझको मुझसे ज्यादा जानने लगे हैं।