Sitaaro se Aage Jahan aur bhi hai,
Abhi Ishq ke Imtehan aur bhi hai.,
Tahi Zindagi se nahi yeh Fizaye'n,
Yaha Sainkro'n Kaarwa'n aur bhi hai.,
{Tahi = empty }
Qana'at na kar Alam-e-Rang-o-Buu par,
Chaman aur bhi Aashiya'n aur bhi hai.,
{Qana'at =satisfaction, Alam = world, Rang-o-Buu = color and fragrance, Aashiya'n = shelter}
Agar Kho gaya ik Nasheman toh kya Ghum,
Maqamaat Aah-o-Faghan aur bhi hai.,
{Nasheman = shelter, maqamaat = places , aah = sigh , faghan = complaint, appeal}
Tu Shaaheen hai Parvaaz hai kaam tera,
Tere Samne Asmaan aur bhi hai.,
{Shaheen = eagle, parvaaz = fly, flight }
Isi Roz-o-Shab mei'n Ulajh kar na reh ja,
Ke Tere Zamaan-o-Makaan aur bhi hai.,
{Roz= day, shab= night, Ulajh=entangle, Zamaan= period, makaan= houses}
Gaye din ke Tanha tha Mai Anjuman mei'n,
Yaha ab Mere Raazdaan aur bhi hai..
{Anjuman = society, raazdaan = secret keeper}
No comments:
Post a Comment