All kind of Urdu and Hindi Shayari(poetry) sad Love, Ishq,pyar, Mohabbat, Dard Shayari of all famous poets like Mirza Ghalib, Allama Iqbal, Dagh Dehelvi, Ahmad Faraz Parveen Shakir, Kumar Vishwas etc.
EXPLORE AMAZON.COM HERE
me to
Friday, 6 October 2017
Thursday, 5 October 2017
Heart Touching Shayari
کیسے سمجھیں میرے روگ،
اندهے، گونگے، بہرے لوگ،
ان کے آگے سب بیکار ہیں،
آہیـں، نـوحے، ماتم، سـوگ.
Kaise samjhe'n Mere Rog,
Andhe,Gungey, Behrey Log,
Unke Aage sab bekar hai'n,
Aahe'n, Nohey, Maatam, Sog.
ﻣﺮﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺗﻮ ﺍﮎ ﺩﻥ،
ﺑﻦ ﺑﺘﺎﺋﮯ ﮨﯽ ﻣﺮ ﺟﺎتے،
ﮨﯿﮟ۔۔
ﺭﻭﺯ ﺗﻮ ﻭﮦ ﻣﺮﺗﮯ،
ﮨﯿﮟ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ !!!!
ﺟﻮ ﺧﻮﺩ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ
ﭼﺎﮬﺘﮯ ﮨﯿﮟ....
Marne wale toh ek din,
Bin bataye hi Mar jate,
Hai'n....!!!!
Roz toh Woh ,
Jo khud sey Zyada kisi ko,
Chahte Hai'n..
اندهے، گونگے، بہرے لوگ،
ان کے آگے سب بیکار ہیں،
آہیـں، نـوحے، ماتم، سـوگ.
Kaise samjhe'n Mere Rog,
Andhe,Gungey, Behrey Log,
Unke Aage sab bekar hai'n,
Aahe'n, Nohey, Maatam, Sog.
ﻣﺮﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺗﻮ ﺍﮎ ﺩﻥ،
ﺑﻦ ﺑﺘﺎﺋﮯ ﮨﯽ ﻣﺮ ﺟﺎتے،
ﮨﯿﮟ۔۔
ﺭﻭﺯ ﺗﻮ ﻭﮦ ﻣﺮﺗﮯ،
ﮨﯿﮟ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ !!!!
ﺟﻮ ﺧﻮﺩ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ
ﭼﺎﮬﺘﮯ ﮨﯿﮟ....
Marne wale toh ek din,
Bin bataye hi Mar jate,
Hai'n....!!!!
Roz toh Woh ,
Jo khud sey Zyada kisi ko,
Chahte Hai'n..
Wednesday, 4 October 2017
Sitaaro se Aage Jahan aur bhi hai, Allama Iqbal
Sitaaro se Aage Jahan aur bhi hai,
Abhi Ishq ke Imtehan aur bhi hai.,
Tahi Zindagi se nahi yeh Fizaye'n,
Yaha Sainkro'n Kaarwa'n aur bhi hai.,
{Tahi = empty }
Qana'at na kar Alam-e-Rang-o-Buu par,
Chaman aur bhi Aashiya'n aur bhi hai.,
{Qana'at =satisfaction, Alam = world, Rang-o-Buu = color and fragrance, Aashiya'n = shelter}
Agar Kho gaya ik Nasheman toh kya Ghum,
Maqamaat Aah-o-Faghan aur bhi hai.,
{Nasheman = shelter, maqamaat = places , aah = sigh , faghan = complaint, appeal}
Tu Shaaheen hai Parvaaz hai kaam tera,
Tere Samne Asmaan aur bhi hai.,
{Shaheen = eagle, parvaaz = fly, flight }
Isi Roz-o-Shab mei'n Ulajh kar na reh ja,
Ke Tere Zamaan-o-Makaan aur bhi hai.,
{Roz= day, shab= night, Ulajh=entangle, Zamaan= period, makaan= houses}
Gaye din ke Tanha tha Mai Anjuman mei'n,
Yaha ab Mere Raazdaan aur bhi hai..
{Anjuman = society, raazdaan = secret keeper}
Allama Iqbal Shayari
Amal se Zindagi banti hai Jannat bhi Jahanum bhi,
Yeh Khaki apni Fitrat mei'n hai Na Noori hai Na Nari hai.
{Khaki= dust, nuri = full of light, nari = full of fire}
❤❤
Mana ke teri Deed ke Qabil Nahi'n hu'n Mai,
Tu mera Shauq dekh Mera Intezaar dekh.
❤❤
Nasha pila ke Girana toh sabko Aata hai,
Maza toh tab hai ke Girto'n ko Thaam'le Saaqi.
Tuesday, 3 October 2017
Monday, 2 October 2017
Subscribe to:
Posts (Atom)